A Happy life – life lesson

 A HAPPY LIFE


    Aksar apne as pas ke logo ko dekh kar me ye assume karta hu ki log apne sath hone wali situations ke bare me soch soch kar har time dukhi rehte hai, dusre logo ki soch me dube rehte hai, present me jee hi nahi pate kyuki wo apne past me bahut bure tarike se fase rehte hai. Mainly apna aaj kal ka youth. Har time sirf preshan hi rehta hai.


  
     Aise logo ko me ek hi suggestion deta hu ki wo chahe to khud hi apni life ko achha or khusbmijaj bana sakte hai.

  
Kabhi bhi apne past ko khud per hawi nahi hone dena chahiye. Kyuki ye na to apke present ke liye na hi apke future ke liye achha hai. Apka past ja chuke hai ye apko or khushi nahi de sakta. Agar kisi ne apke sath kuch galat kiya hai apko cheat kiya ho apko hurt kiya ho -sirf ek hi tarike se ap us se jeet sakte ho JUST MOVE ON. Agar ap unse nafrat karte rahoge to isme unki jeet hai or apki haar.
Islie apne uper se apne past ke bhoj ko utar kar present me jeena sikho. Apne present ko enjoy karo.



Kabhi bhi dusro ko apke goals, apke aims ko control na karne do, warna ap un rasto per chalne lago ge jinper ap kabhi chalna nahi chahte the. Kuch bhi karne se pehle khud se puchhlo ki kya mein such me ye kam karna chahta hu ya nahi?
Ap dusro se alg ho or apne ap me khas bhi means you were born unique for a reason, to be appropriated and loved for who you are…
                Yaha kuch bhi aisa nahi hai jo aap na kar sako, aisa jo ap hasil na kar sako. Jrurt hai to sirf believe ki.. so just believe in YOURSELF.


Kai bar hum khush rehne ke liye relationship me aana pasand karte hai or bad me jab relationship me aajate hai to hame hamesha dusro ki jrurt padti hai khush rehne ke liye or agar wo person us time available na ho to hum unhappy ho jate hai, dukhi ho jate hai relationship me hone ke bawjud bhi.

Mein Relationship me na aane ki baat nahi kar raha hu, because i know relationship, emotions, connections, love inse sb se badi power koi nahi hai. Ye sabse strong powers hai.
Mein sirf ye kehna chahta hu ki apni life ka wo point dhundo jaha per apko khush hone ke liye dusro ki jrurt na pade, apki khushi unki mohtaj na ho.
Chahe ap Relationship me ho ya na ho, main thing is ap khush hone chahiye.
Hamesha apne dil ki suno or khush bhi raho.
        
                         Apne ap ko challenge karo wo life jeene ke liye jo ap jeena chahte ho. Apni life per sirf apna hi control rakho. It’s your life apko khush rehna hai ya udas rehkr apni life spoil karni hai, ye decision sirf apka hona chahiye.
Nothing is permanent. So just believe in yourself, work for yourself, don’t stay in past, live in present and enjoy it..

                             


                          Have a happiest life..
                          Thank you..

                          Prince..

2 comments on “A Happy life – life lesson

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *